
Ilahi Ta Buwaad Khursheedo Mahi Chiragh-e-Chishtiya
Darbar-e-Khwaja Gharib Nawaz (R.A.) mein chiragh roshan karne ki yeh roohani aur qadimi riwayat sadiyon se musalsal jaari hai. Khadimeen-e-Huzoor Khwaja Gharib Nawaz (R.A.) ne is noorani silsile ko har daur mein nihayat aqeedat aur khuloos ke saath barqarar rakha hai.
Sakht sardi ho ya shiddat ki garmi, toofan ho ya musalsal baarish, mausam ki har sakhti ke bawajood Darbar-e-Aqdas mein roshni ke in chiraghon ka silsila kabhi rukne nahi diya gaya. Yeh chiragh sirf roshni ka zariya nahi, balki sadiyon purani aqeedat, khidmat aur nisbat-e-Chishtiya ki ek roshan alamat hain.